Subodh Lal Saqi

apni gumshudgi ki afwahen main phailata raha

Subodh Lal Saqi

apnī gumshudgī kī afvāheñ maiñ phailātā rahā
jo bhī ḳhat aa.e binā khole hī lauTātā rahā
zehn ke jañgal meñ ḳhud ko yuuñ bhī bhaTkātā rahā
uljhaneñ jo thiiñ nahīñ un ko hī suljhātā rahā
muskurāhaT kī bhī āḳhir asliyat khul hī ga.ī
ġham zamāne se chhupāne kā maza jaatā rahā
aur rañgīñ ho ga.ī us ke tabassum kī dhanak
ishq kā sūraj hayā kī barf pighlātā rahā
merā chehra kho gayā chehroñ ke is bāzār meñ
jaane kyā kyā ruup maiñ duniyā ko dikhlātā rahā
shahr ke chaurāhe par paa.ī thī us ne tarbiyat
umr bhar auroñ ke aage haath phailātā rahā
Top Urdushayar.com