Siraj Aurangabadi

aalam ke doston mein murawwat nahin rahi

Siraj Aurangabadi

Aurangabad, Aurangabad, Maharashtra, India

1712-1763
aalam ke dostoñ meñ muravvat nahīñ rahī
sharm-o-hayā-o-mehr va shafqat nahīñ rahī
zāhir meñ kyā rafīq kahāte haiñ aap kuuñ
lekin unoñ ke dil meñ mohabbat nahīñ rahī
milte haiñ rāstī siiñ jo koī kaj-nazar mile
ḳhvāboñ meñ pāk-bāz kī hurmat nahīñ rahī
har ḳhaar bul-havas ke kiye sohbat iḳhtiyār
to husn gul-ruḳhoñ meñ latāfat nahīñ rahī
nā-lāyqoñ meñ umr kuuñ karnāñ abas talaf
ham-sohbatī kī un meñ liyāqat nahīñ rahī
bhūle haiñ har sanam ke karishme pe hosh kuuñ
in zāhidoñ meñ kashf-o-karāmat nahīñ rahī
sifle hue aziiz aziiz ab hue ḳharāb
be-jauharoñ meñ qadr-e-sharāfat nahīñ rahī
mat ho bahār-e-gulshan-e-duniyā kā andalīb
is phūlban meñ bū-e-rifāqat nahīñ rahī
ab zāt-e-haq baġhair na rakh dostī 'sirāj'
aalam meñ āshnā.ī-o-ulfat nahīñ rahī
Top Urdushayar.com