din-ba-din ab lutf terā ham pe kam hone lagā
yā to thā vaisā karam yā ye sitam hone lagā
sach kaho taqsīr kyā hai āshiq-e-mazlūm kī
nīmchā tirchhī nigah kā kyuuñ alam hone lagā
teġh-e-abrū kuuñ nipaT kaste ho pan hairāñ huuñ maiñ
kaun se bīmār par ye aab dam hone lagā
shukr-e-allah sarv-e-rānā ke tasavvur ke tufail
rafta rafta dil mirā bāġh-e-iram hone lagā
bas karo ai shāh-e-fauj-e-husn qatl-e-ām kuuñ
āshiqoñ kī aah kā neza alam hone lagā
tujh kuuñ ai āhū-nigah kis ne sikhāyā ye tarah
yā to thā auroñ siiñ ram yā ham siiñ ram hone lagā
hijr kī rātoñ meñ ye misra.a huā vird-e-'sirāj'
din-ba-din ab lutf terā ham pe kam hone lagā