hoñToñ pe agarche mire muskān sajī hai
ab bhī mirī palkoñ pe to halkī sī namī hai
aa kar koī baiThā hai ḳhayāloñ meñ jo is dam
āñkhoñ kī ye barsāt zarā der rukī hai
maiñ ḳhud huuñ kahīñ aur dil-e-ġham-dīda kahīñ aur
jazbāt meñ ehsās meñ ik barf jamī hai
ḳhvāboñ ke darīche se jo jhāñkā hai kisī ne
dil ne kahīñ siine meñ koī aah bharī hai
tasvīr-e-ġham-o-dard banī jaatī huuñ ab to
kaisī mire mālik mirī taqdīr likhī hai
dil dard-e-judā.ī se taḌaptā hai har ik pal
huuñ bhiiḌ meñ logoñ ke magar terī kamī hai
dil jaltā hai kyūñkar na karūñ aah aur zaarī
tūfān hai siine meñ ik halchal sī machī hai
lagtā hai ki jaltā hai in āñkhoñ meñ koī ḳhvāb
uThtā hai dhuāñ jaise kahīñ aag lagī hai
ik pal kī judā.ī mujhe manzūr nahīñ ab
himmat nahīñ jiine kī baḌī saḳht ghaḌī hai
galiyoñ meñ khaḌe ho ke tirī raah takūñ maiñ
zanjīr tire hijr kī pairoñ meñ paḌī hai
baaqī nahīñ jiine kī tamannā mire dil meñ
aa dekh le 'ra.anā' tirī kis ġham meñ ghulī hai