Akhtar Ziai

chhupe hue hain sar-e-rah sau KHatar KHamosh

Akhtar Ziai

Jhelum, Punjab, Pakistan

1933
chhupe hue haiñ sar-e-rāh sau ḳhatar ḳhāmosh
chale chalo mere yārān-e-ham-safar ḳhāmosh
fazā-e-qarya tilism-e-sukūt meñ gum-sum
siyāh raat ke dāman meñ bām-o-dar ḳhāmosh
hamāre baa'd agar rustaḳhez ho bhī to kyā
bisāt-e-vaqt se ham to ga.e guzar ḳhāmosh
ba-īñ navāzish-e-mausam shaguft-e-gul pe na jā
zabān-e-hāl se goyā ba-chashm-e-tar ḳhāmosh
jo arsh-e-jāh sitāra-shikār the un ko
falak kī aañkh ne dekhā faganda-sar ḳhāmosh
har ek daur meñ gūñjī hai zarbat-e-farhād
kabhī bhī rah na sake sāhab-e-hunar ḳhāmosh
zabāñ-darāz 'ziyā.ī' ko rokiye sāhab
ye maslahat kā taqāzā hai al-hazar ḳhāmosh
Top Urdushayar.com