Siraj Aurangabadi

rishte mein teri zulf ke hai jaan hamara

Siraj Aurangabadi

Aurangabad, Aurangabad, Maharashtra, India

1712-1763
rishte meñ tirī zulf ke hai jaan hamārā
bejā nahīñ sumbul ke upar maan hamārā
sarmā-e-āshufta-dilī jam.a huā hai
aa dekh sanam hāl-e-pareshān hamārā
jiyūñ sūrat-e-dīvār huā mahv-e-tamannā
mushtāq tirā hai dil-e-hairān hamārā
darpesh hai ham kuuñ safar-e-manzil-e-maqsūd
bas āh-e-sahar-gāh ye sāmān hamārā
tere lab-e-shīrīñ kī sunā jab siiñ hikāyat
kāshāna-e-zambūr huā kaan hamārā
majnūñ kī tarah vahshī sahrā-e-junūñ nahīñ
hai vus.at-e-mashrab setī maidān hamārā
kahte haiñ tirī zulf kuuñ dekh ahl-e-sharī.at
qurbān hai is kufr par īmān hamārā
āzād kiye qaid siiñ tasbīh kī us kuuñ
hai gardan-e-zunnār pe ehsān hamārā
siina ke tabaq meñ hai kabāb-e-dil-e-pur-soz
jis din se ġham-e-hijr hai mehmān hamārā
ai shoḳh kashish siiñ tire abrū kī kamāñ kī
dil haath siiñ jaatā hai har ik aan hamārā
ai jān-e-'sirāj' ek ġhazal dard kī sun jā
majmūa-e-ahvāl hai dīvān hamārā
Top Urdushayar.com