barq se āshiyāñ kā rishta hai
arsh se ḳhāk-dāñ kā rishta hai
mere afsāna-e-mohabbat se
aap kī dāstāñ kā rishta hai
āj-kal ham junūñ-pasandoñ se
har na.e imtihāñ kā rishta hai
ahl-e-gulshan kī ḳhasta-hālī se
sāzish-e-bāġhbāñ kā rishta hai
aap muḳhtār aur ham majbūr
sochiye to kahāñ kā rishta hai
shaiḳh sāhab kā hūr-o-ġhilmāñ se
sirf vahm-o-gumāñ kā rishta hai
un kā 'aḳhtar' se yuuñ ta.alluq hai
jis tarah jism-o-jāñ kā rishta hai