milā jo koī yahāñ ramz-āshnā na mujhe
vabāl-e-hosh rahā harf-e-mahramāna mujhe
udaas phirtī hai shādāb vādiyoñ kī mahak
hai kā.enāt yahī kunj-e-āshiyāna mujhe
adū kī sañg-zanī kī nahīñ mujhe parvā
tire karam kā mayassar hai shāmiyāna mujhe
koī ilāj-e-ġham-e-zindagī batā vaa.iz
sune hue jo fasāne haiñ phir sunā na mujhe
subuk-sarī meñ zamīn-e-vatan bhī tañg huī
kashāñ kashāñ liye phirtā hai āb-o-dāna mujhe
mire nasīb meñ hai kisht-e-jāñ kī vīrānī
na aa.ī raas rah-o-rasm-e-āshiqāna mujhe
bhaTak rahā huuñ usī kī talāsh meñ 'aḳhtar'
ki jis dayār ko chhoḌe huā zamāna mujhe