Akhtar Ziai

ham-nashin raat hai to raat bhi Dhal jaegi

Akhtar Ziai

Jhelum, Punjab, Pakistan

1933
ham-nashīñ raat hai to raat bhī Dhal jā.egī
sub.h-dam sūrat-e-hālāt badal jā.egī
hiddat-e-shauq salāmat hai to zanjīr-e-jafā
sūrat-e-sham.a kisī roz pighal jā.egī
un kā dam bharte ho to ġham na karo āḳhir-kār
un pe dam dene kī hasrat bhī nikal jā.egī
ham-safīro kabhī miTtī hai tamannā-e-bahār
ye kisī phuul kisī sho.ale meñ Dhal jā.egī
yahī behtar hai ki qurbān-e-vafā ho jaa.e
jaañ agar aaj na jā.egī to kal jā.egī
kis ko ma.alūm thā malbūs-e-sabā meñ sarsar
aa ke gulshan meñ shagūfoñ ko masal jā.egī
ab ke sāvan bhī agar abr na barsā 'aḳhtar'
jo kalī shāḳh pe niklegī vo jal jā.egī
Top Urdushayar.com