dam-e-īsā yad-e-baizā ke qarīne vaale
ab na mansūr na suqrāt se piine vaale
vahī kuufī vahī lashkar vahī paimān-e-vafā
vahī āsār moharram ke mahīne vaale
dam nikaltā hai na sar jhuktā hai dīvānoñ kā
jaane kis aas pe jiite haiñ ye jiine vaale
ye jo sāhil ke manāzir haiñ jo āvāzeñ haiñ
jā ke us paar na pā.eñge safīne vaale
ham mohabbat kī alāmat haiñ janāb-e-vā.iz
ham adāvat ke talabgār na kiine vaale
ek paiġhām ho shāyad mirī ḳhāmoshī bhī
tujh ko ma.alūm nahīñ lab mire siine vaale
aaj kuchh log haiñ sūrat-gar-e-hālāt 'aḳhtar'
aur kuchh log haiñ maazī ke dafīne vaale
in ko thoḌī sī uḳhuvvat bhī atā ho jaa.e
ye jo lete haiñ tirā naam madīne vaale