Akhtar Ziai

apni qismat mein gham-e-arsa-e-hijran hai to kya

Akhtar Ziai

Jhelum, Punjab, Pakistan

1933

apnī qismat meñ ġham-e-arsa-e-hijrāñ hai to kyā

ashk minnat-kash-e-gahvāra-e-mizhgāñ hai to kyā

husn arbāb-e-haqīqat ko hai nāzūra-e-haq

shaiḳh aap ko andesha-e-īmāñ hai to kyā

vaqt ke saath fuzūñ hotā hai ehsās-e-ziyāñ

fahm-o-idrāk ġhārat-gar-e-insāñ hai to kyā

be-muhābāna masarrat ke ta.āqub meñ na dauḌ

dām-e-nairañg pas-e-sarhad-e-imkāñ hai to kyā

ham to ik umr se haiñ muntazir-e-marg-e-ḳhizāñ

ab ke logoñ meñ agar zikr-e-bahārāñ hai to kyā

mausam aatā hai to kāñToñ meñ gul khilte haiñ

dast-e-gul-chīñ meñ agar nazm-e-gulistāñ hai to kyā

zer-e-ta.amīr isī haal meñ hai mustaqbil

is meñ kuchh reḳht pahlū bhī numāyāñ hai to kyā

Top Urdushayar.com