jaañ rahe yā na rahe naam rahe
sāthiyo rasm-e-junūñ aam rahe
bārhā sa.ī-e-talab kī ham ne
ye alag baat ki nākām rahe
azmat-e-ishq se nā-vāqif the
jo asīr-e-havas-e-ḳhām rahe
kyā ta.ajjub hai ki pīrān-e-haram
mar ke bhī tālib-e-asnām rahe
kyā ḳhabar hai ki yuuñ hī ai 'aḳhtar'
tā-ba-kai gardish-e-ayyām rahe