aañkh dariyā jigar lahū karnā
kitnā mushkil hai aarzū karnā
tajziya dil-nashīñ ḳhayāloñ kā
hai ġhazāloñ kī justujū karnā
tazkira in kī dil-navāzī kā
aur phir mere rū-ba-rū karnā
bas yahī ek shaġhl-e-tanhā.ī
rah gayā ḳhud se guftugū karnā
kushtagān-e-alam se sīkhā hai
dard-mandoñ kī aabrū karnā
dostoñ ke karam se chhoḌ diyā
ham ne andesha-e-adū karnā
bachnā har nok-e-ḳhār se 'aḳhtar'
zaḳhm phūloñ ke bhī rafū karnā