Akhtar Ziai

irfan-o-agahi ke saza-war hum hue

Akhtar Ziai

Jhelum, Punjab, Pakistan

1933
irfān-o-āgahī ke sazā-vār ham hue
soyā paḌā thā shahr ki bedār ham hue
tā umr intizār sahī par ba-roz-e-hashr
achchhā huā ki tere talabgār ham hue
ham par vafā-e-ahd anal-haq bhī farz thā
is vāste ki mahram-e-asrār ham hue
Thahregī ek din vahī merāj-e-bandagī
jo baat kah ke aaj gunahgār ham hue
hote ga.e vo ḳhalq-farebī meñ hoshiyār
jitnā ki tajribe se samajhdār ham hue
nādān the ki masnad-e-irshād chhoḌ kar
halqa-ba-gosh-e-sīrat-o-kirdār ham hue
is daur-e-ḳhud-farosh meñ 'aḳhtar' ba-sad ḳhulūs
ḳhamyāza-sanj-e-jur.at-e-iz.hār ham hue
Top Urdushayar.com