tujh se ai ziist hameñ jitne hasīñ ḳhvāb mile
naqsh-bar-āb kabhī sūrat-e-sīmāb mile
ham ne har mauj-e-havādis ko kinārā samjhā
ham ko har mauj meñ lipTe hue girdāb mile
gardish-e-vaqt ne gahnā diye kitne sūraj
sub.h kī god meñ dam toḌte mahtāb mile
jab bhī sadiyoñ kī futūhāt ko muḌ kar dekhā
ḳhuuñ meñ luThḌe hue tārīḳh ke abvāb mile
sail-e-zulmāt meñ hai qāfila-e-manzil-e-shab
kaash aise meñ koī najm-e-ufuq-tāb mile
ahal-e-kirdār ko dekhā hai sar-e-dār aksar
ahal-e-guftār tah-e-sāya-e-mehrāb mile
fasl-e-gul aa.ī hai yaaro to ġhanīmat jaano
phuul afsurda sahī zaḳhm to shādāb mile
dil ke har daaġh se vābasta hai rūdād-e-sitam
rañj baḌhtā gayā juuñ juuñ mujhe ahbāb mile
mujh ko 'aḳhtar' na milī nāla-e-shab-gīr kī daad
qarya-e-shauq ke sab log garāñ-ḳhvāb mile