maiñ samajhtā thā haqīqat āshnā ho jā.egā
kyā ḳhabar thī merī bātoñ se ḳhafā ho jā.egā
rafta-rafta ibtilā-e-ġham shifā ho jā.egā
dard hī had se guzarne par davā ho jā.egā
ham pe to pahle hī zāhir thā ma.āl-e-bandagī
pūjne jāoge jis but ko ḳhudā ho jā.egā
tajarbe kī aañch se āḳhir raqīb-e-rū-siyah
un kī qurbat se hamārā ham-navā ho jā.egā
aah jo siine se niklegī fuġhāñ ban jā.egī
ashk jo āñkhoñ se Tapkegā duā ban jā.egā
dam-ba-dam jo saath dene kā kiyā kartā thā ahd
kis ko thā ma.alūm ki ik din judā ho jā.egā
chhoḌne vaale sar-e-rāhe hameñ tere liye
zindagānī kā safar be-mudda.ā ho jā.egā
ik nigāh-e-lutf vo pahlī sī dildārī ke saath
daan kar diije ġharīboñ kā bhalā ho jā.egā
sahal-tar hogā najāt-e-ḳhalq meñ qarz-e-vafā
jaan bhī degā agar 'aḳhtar' adā ho jā.egā