jab ba-faizān-e-junūñ parcham-e-zar khulte haiñ
qufl-e-shab toḌ ke anvār-e-sahar khulte haiñ
yuuñ ubhartī hai dil-e-tār meñ ummīd kī zau
jaise zindāñ ke kabhī rauzan-o-dar khulte haiñ
ġham se miltā hai mirī fikr ko is tarah farāġh
jis tarah tā.ir-e-par-basta ke par khulte haiñ
abr barse to bayābāñ meñ mahaktī hai bahār
laakh mai-ḳhāne sar-e-rāhguzar khulte haiñ
jin ko afzā.ish-e-mantiq ne kiyā ho taḳhlīq
aise uqde bhī kahīñ ahl-e-nazar khulte haiñ
shaiḳh jī arsa-e-jalvat meñ haiñ pāband-e-rusūm
par ye ḳhalvat meñ bahut sho.abda-gar khulte haiñ
fahm-o-iblāġh koī khel nahīñ hai 'aḳhtar'
ḳhūn-e-dil dene se asrār-e-hunar khulte haiñ