burrish-e-teġh bhī hai phuul kī mahkār bhī hai
vo ḳhamoshī ki jo sad maujib-e-iz.hār bhī hai
chhoḌiye un ke shab-o-roz kī rūdād-e-zubūñ
aap ko ḳhāk-nashīnoñ se sarokār bhī hai
maslahat mujh ko bhī malhūz hai ai ham-suḳhano
par mire pesh-e-nazar vaqt kī raftār bhī hai
maut ke ḳhauf se har saañs rukī jaatī hai
zindagī aaj koī terā ḳharīdār bhī hai
talḳhī-e-hāl ko hai ishrat-e-fardā kā fareb
dil junūñ-kosh hai aur aql trahdār bhī hai
mere mahbūb mujhe vaqf-e-taġhāful na samajh
ziist ke laakh taqāze haiñ terā pyaar bhī hai
ahal-e-guftār kī to bhiiḌ lagī hai 'aḳhtar'
dekhnā in meñ koī sāhab-e-kirdār bhī hai