Akhtar Ziai

jafa ki rasm-e-sitam ka riwaj badlega

Akhtar Ziai

Jhelum, Punjab, Pakistan

1933
jafā kī rasm-e-sitam kā rivāj badlegā
faqīh-e-shahr kā āḳhir mizāj badlegā
maiñ jāntā huuñ badaltī rutoñ kī ḳhushbū se
havā-e-dasht tirā imtizāj badlegā
jumūd-e-marg numūd asl zindagī hai to phir
jo kal na badlā yaqīnan vo aaj badlegā
ḳhulūs-o-mehr-o-vafā ḳhvāb ho ga.e jaise
na jaane kab ye nahūsat kā raaj badlegā
na.e shu.ūr ke charche haiñ chaar sū 'aḳhtar'
mujhe yaqīñ hai ye kohna samāj badlegā
Top Urdushayar.com