Akhtar Ziai

ahd-e-wafa ka qarz ada kar diya gaya

Akhtar Ziai

Jhelum, Punjab, Pakistan

1933
ahd-e-vafā kā qarz adā kar diyā gayā
mahrūmiyoñ kā dard atā kar diyā gayā
phūloñ ke dāġh-hā-e-farozāñ ko dekh kar
arzāñ kuchh aur rañg-e-hinā kar diyā gayā
vāraftgān-e-shauq kā shikva sune baġhair
gulshan supurd-e-ahl-e-jafā kar diyā gayā
dil se umañg lab se duā chhīn lī ga.ī
kahne ko qaidiyoñ ko rihā kar diyā gayā
yak-do-nafas bhī kār-e-ziyāñ ham na kar sake
ḳhushbū ko pairahan se judā kar diyā gayā
māñgī thī āfiyat kī duā āgahī kā ġham
pahle se bhī kuchh aur sivā kar diyā gayā
'aḳhtar' havas-garān-e-aqīdat ke faiz se
sab kuchh ravā ba-nām-e-ḳhudā kar diyā gayā
Top Urdushayar.com