Siraj Aurangabadi

hum hain mushtaq-e-jawab aur tum ho ulfat sin baid

Siraj Aurangabadi

Aurangabad, Aurangabad, Maharashtra, India

1712-1763
ham haiñ mushtāq-e-javāb aur tum ho ulfat siiñ ba.iid
naqd-e-dil gar tum kuuñ pahuñchā hai to bhijvā dev rasīd
baaġh meñ ham mar ga.e mahrūm-e-vasl-e-gul-badan
haiñ hamāre aaj phuul aur bulbuloñ ke haq meñ iid
lashkar-e-qalb-e-saf-e-ushshāq meñ hai ġhalġhala
yakka-tāz-e-āh kuuñ kis ne kiyā hai nā-rasīd
husn kuuñ hai naqd-e-nāz aur ishq kuuñ jins-e-niyāz
phir abas shikva hai ye saudā huā hai ḳhush-ḳharīd
baaġh siiñ gulchīñ chalā tab bulbuloñ ne ġhul kiyā
hazrat-e-gul kuuñ kiyā jaatā hai ye kāfir shahīd
rah-navardān-e-junūñ kuuñ fatahyāb-e-faiz hai
ābloñ ke qufl ko ḳhār-e-bayābāñ hai kalīd
but-parastoñ kuuñ hai īmān-e-haqīqī vasl-e-but
barg-e-gul hai bulbuloñ kuuñ jild-e-qur.ān-majīd
nūr-e-jāñ fānūs-e-jismī siiñ judā kab hai 'sirāj'
sho.ala tār-e-sham.a siiñ kahtā hai min-hablil-varīd
Top Urdushayar.com