Shafaq Sopori

tu ne nazar se pyas ki dekha bhi hai kahin

Shafaq Sopori

tū ne nazar se pyaas kī dekhā bhī hai kahīñ
gard-e-jabīn-e-dasht meñ dariyā bhī hai kahīñ
phirtā rahā huuñ jis ke ta.āqub meñ umr-bhar
kyā naqsh us ḳhayāl ne chhoḌā bhī hai kahīñ
yā sab hī merī tarah ke āvāra-gard the
dil meñ koī qarār se baiThā bhī hai kahīñ
ham bhī ajab the ġhāroñ meñ utre ye dekhne
bach kar nikalne kā koī rasta bhī hai kahīñ
kuchh dekhte ki ḳhaak meñ haiñ dafn ḳhvāb kyā
ye gard-bād lamhe ko Thahrā bhī hai kahīñ
phūloñ kī samt haath baḌhāo ye soch kar
af.ī siyāh shāḳh se lipTā bhī hai kahīñ
saarī sadā.eñ ġhaib se aatī nahīñ 'shafaq'
koī zarūr dasht meñ baiThā bhī hai kahīñ
Top Urdushayar.com