lahrā rahī haiñ khet meñ gandum kī bāliyāñ
aur pahre par bijoke haiñ le kar do-nāliyāñ
rū-e-suḳhan hai us kā ḳharīdār kī taraf
qassāb de rahā hai jo billī ko gāliyāñ
ḳhanjar utaar degā jamūre ke peT meñ
būḌhe javān bachche bajā.eñge tāliyāñ
juute nikāltī haiñ adab se tavā.ifeñ
lekin phaTe jurāboñ pe hañstī haiñ sāliyāñ
buuTā sā tan thā pahlū meñ aur kunDalī maar ke
siine pe saañp jaisī thiiñ bāhoñ kī Dāliyāñ
utrī tamām raat mire tan kī aartī
mehñdī lage vo haath the phūloñ kī Dāliyāñ
vallāh aqīdat aaj bhī hai merā scene se
ham ko bahut pasand haiñ bañgāl vāliyāñ
louñDoñ kī ThoḌiyoñ pe jo sabza ugā 'shafaq'
kis kaam kī rahī haiñ ye chehroñ kī lāliyāñ