maiñ huuñ ik kāġhaz-e-qalam-bezār
bād-e-sarsar meñ barg-e-nam bezār
arabī log haiñ to hone do
vo ḳhudā to nahīñ ajam-bezār
dekh kar bol chehre-bushre se
nazar aatā huuñ kyā sitam-bezār
ai gurezān-e-ābla-pā.ī!
dasht-e-majnūn hai qadam-bezār
ik dil-e-muztarib hai pahlū meñ
aur siina hai ek-dam bezār
rashk-e-shāna se pech khātā huuñ
maiñ giraftār-e-zulf-e-ḳham bezār
mustarad daftar-e-tarab meñ huā
ek ummīd-vār-e-ġham bezār
mujh se bezār kul jahāñ hai 'shafaq'!
maiñ bhī ḳhud se nahīñ huuñ kam bezār