Siraj Aurangabadi

hamare pas jaanan aan pahuncha

Siraj Aurangabadi

Aurangabad, Aurangabad, Maharashtra, India

1712-1763
hamāre paas jānāñ aan pahuñchā
dil-e-be-jān kuuñ ab jaan pahuñchā
na hove kyuuñ shor dil kī bāñslī meñ
malāhat kā salonā kaan pahuñchā
kamāñ-abrū kī har tirchhī nigah siiñ
jigar ke toḌne kuuñ baan pahuñchā
dikhāyā mus.haf-e-ruḳhsār apnāñ
hamārā diin aur īmān pahuñchā
mujhe kah kākrezī chīre vaale
ki vaqt-e-sair-e-nā-farmān pahuñchā
mai o jaam o gul-e-mutrib hai maujūd
bahār-e-vasl kā sāmān pahuñchā
dil-e-muflis ne paayā vasl kā ganj
bhikārī kuuñ daras kā daan pahuñchā
'sirāj' ab ghar tirā raushan huā hai
magar vo sham.a-rū mehmān pahuñchā
Top Urdushayar.com