qarz kī mohlat guzar ga.ī hai
bhaa.ī muddat guzar ga.ī hai
vasl ke da.avedār kaho kyā
hijr kī iddat guzar ga.ī hai
ham to aise rone lage haiñ
jaise mohabbat guzar ga.ī hai
dasht-e-junūñ! majnūñ ke ġham meñ
kyā be-vahshat guzar ga.ī hai
ishq se be-parvā logoñ kī
umr salāmat guzar ga.ī hai
ai kuffār-e-tishna-badnāñ
shab-e-jahālat guzar ga.ī hai
ghuur añdhere meñ parchhā.īñ
kar ke harakat guzar ga.ī hai
dil se hasrat kā jaanā thā
aañkh se hairat guzar ga.ī hai
'shafaq'! mahūrat ke chakkar meñ
sā.at-e-hijrat guzar ga.ī hai