Shafaq Sopori

nahin ye aks hua hai samajhta kyun nahin main

Shafaq Sopori

nahīñ ye aks huā hai samajhtā kyuuñ nahīñ maiñ
mire qarīb khaḌā hai samajhtā kyuuñ nahīñ maiñ
ye chiiz aur nahīñ koī merā saayā hai
magar ye mujh se judā hai samajhtā kyuuñ nahīñ maiñ
ye koī pahlū mirā hai jo zaat se merī
ka.ī dinoñ se judā hai samajhtā kyuuñ nahīñ maiñ
jahāñ pe jism kī dīvār meñ shigāf paḌā
vahīñ se sabza ugā hai samajhtā kyuuñ nahīñ maiñ
tumhārī aañkh se maiñ apne ḳhvāb dekhtā huuñ
yahī to merī sazā hai samajhtā kyuuñ nahīñ maiñ
phisaltī ret pe fihrist-e-ḳhvāb likhnī hai
ye imtihān kaḌā hai samajhtā kyuuñ nahīñ maiñ
dhuāñ huuñ pūchhtā huuñ vo gayā hai sho.ale par
ki sho.ala us pe gayā hai samajhtā kyuuñ nahīñ maiñ
tum apne-āp se kyuuñ iḳhtilāf karte ho
'shafaq' mo.āmla kyā hai samajhtā kyuuñ nahīñ maiñ
Top Urdushayar.com