Shafaq Sopori

ai mauja-e-sarab tu phankegi kitni KHak

Shafaq Sopori

ai mauja-e-sarāb tū phāñkegī kitnī ḳhaak
mujh ko Dubone ke liye chhānegī kitnī ḳhaak
bach jaa.e musht-bhar sahī dafnāne ke liye
mauj-e-balā-e-ishq meñ Dūbegī kitnī ḳhaak
kitne hasīn ḳhvāb taraste haiñ diid ko
ā.īna-e-jamāl pe baiThegī kitnī ḳhaak
jis ke dar-o-darīcha-o-dīvār haiñ tabāh
is ḳhāna-e-sukūt ko pūchhegī kitnī ḳhaak
koī to chāhiye hadd-e-ḳhsuh-famī-e-fareb
duniyā tū merī aañkh meñ jhoñkegī kitnī ḳhaak
kyuuñ jhuk ga.ī hai bojh se tū āsmān ke
ab sar uThā ai zindagī chāTegī kitnī ḳhaak
mālan gulāb dafn bhī gul-dān meñ hue
bhar bhar ke muTThiyāñ abhī Dālegī kitnī ḳhaak
kab tak 'shafaq' chalegī ye āñdhī malāl kī
mere udaas baam pe barsegī kitnī ḳhaak
Top Urdushayar.com