ye ishq bhī ajiib hai ik aan ho gayā
insān saarī umr ko hairān ho gayā
vo shaḳhs kyā gayā hai idhar se ki shahr-e-dil
phir dekhte hī dekhte vīrān ho gayā
is ġham ne kaisī shakl badal lī ki kal talak
dushman thā merī jaan kā ab jaan ho gayā
vo zulf mere baazū pe bikhrī nahīñ to maiñ
us zulf se ziyāda pareshān ho gayā
hai saltanat hī merī na lashkar mirā magar
maiñ bad-nasīb jañg kā maidān ho gayā
maiñ us ko zinda dekh ke ḳhush ho gayā 'shafaq'
vo mujh ko zinda dekh ke hairān ho gayā