Shafaq Sopori

ab is qadar bhi badal jaega KHabar nahin thi

Shafaq Sopori

ab is qadar bhī badal jā.egā ḳhabar nahīñ thī
fanā se duur nikal jā.egā ḳhabar nahīñ thī
mire badan kī harārat utārne vaalā
mirī tapish se pighal jā.egā ḳhabar nahīñ thī
vo ibtidā-e-mohabbat ke pahle lamhe ko
banā ke āḳhirī pal jā.egā ḳhabar nahīñ thī
baḌhegī luqma-e-dil se bhī aage us kī havas
ye nafs tan ko nigal jā.egā ḳhabar nahīñ thī
gilā thā ātish-e-nok-e-qalam se kāġhaz ko
magar siyāhī se jal jā.egā ḳhabar nahīñ thī
samajh rahe the jise naqsh-bar-sarāb kabhī
vo mauj ban ke uchhal jā.egā ḳhabar nahīñ thī
bahut thā sāya-e-abr-e-ġhubār-e-dasht magar
zarā sī der meñ Dhal jā.egā ḳhabar nahīñ thī
ye sañg-e-ḳhvāb 'shafaq' aañkh ke pasīne par
kisī bhī vaqt phisal jā.egā ḳhabar nahīñ thī
Top Urdushayar.com