pahle bāteñ pyārī pyārī kartā hai
phir vo diloñ par dahshat taarī kartā hai
maiñ is kī har chaal se vāqif huuñ lekin
ba.az auqāt ye dil ġhaddārī kartā hai
dil meñ bhale is fitne ke khoT bharā hai
bātoñ se lekin dildārī kartā hai
maiñ bhī nā-shā.ista harakat kartā huuñ
aur vo bhī bāteñ bāzārī kartā hai
merā bhī koī dīn-o-īmān nahīñ
vo bhī saare shahr se yaarī kartā hai
ek adā roz na.ī kartā hai ījād
roz na.e Dhañg se ayyārī kartā hai
sunte haiñ sab hī kī baarī aatī hai
sab ko zalīl vo baarī baarī kartā hai