ḳhadd-o-ḳhāl se ḳhālī hai
ye tasvīr to ja.alī hai
kahte haiñ marg-e-mufājāt
hukm-e-janāb-e-ālī hai
lashkar-e-is.hāl-zada kī
maiñ ne kamān sambhālī hai
duniyā kī āvāz suno
ek hī haath kī taalī hai
har ik insān ke andar
baiThā ek mavālī hai
amla mo.attal hai dil kā
jaarī sa.ī-e-bahālī hai
qīmat alag hai ḳhaslat ek
ye gandum vo shālī hai
sher kī jast ko kaafī bas
mast hiran kī jugālī hai
mat phaTko mujh dil ke paas
ye darvesh jalālī hai
'shafaq'! ab apne baare meñ
kyā afvāh uḌā lī hai