Yaqoob Usmani

karam ke is daur-e-imtihan se wo daur-e-mashq-e-sitam hi achchha

Yaqoob Usmani

karam ke is daur-e-imtihāñ se vo daur-e-mashq-e-sitam hī achchhā
na zindagī kī ḳhushī hī achchhī na be-sabātī kā ġham hī achchhā
talāsh kī sa.ī-e-rā.igāñ par nazar to aate haiñ ġharq-e-hairat
suḳhan-tarāzī-e-rahnumā se sukūt-e-naqsh-e-qadam hī achchhā
ziyā-e-nūr-e-yaqīñ hai rahbar hayāt kī tiira vādiyoñ meñ
bujhā ke dekheñ bujhāne vaale charāġh-e-tāq-e-haram hī achchhā
talab kī azmat talab kī zahmat talab kā hāsil talab kī lazzat
na ḳhauf-e-sūd-o-ziyāñ hī achchhā na ḳhatra-e-besh-o-kam hī achchhā
ma.aal kyā hogā bāġhbāno sukūñ-farāmosh irtiqā kā
nazar bhī aane lagī chaman meñ bahār-e-bāġh-e-iram hī achchhā
mujhe usī par hai naaz hamdam shikasta sāġhar ye hai to apnā
kise sunātā hai zikr-e-māzī balā se thā jām-e-jam hī achchhā
havās 'yāqūb' nukta-chīñ kyuuñ nazar hī to hai ye apnī apnī
nigāh-e-zauq-e-buland meñ hai sar-e-itā.at kā ḳham hī achchhā
Top Urdushayar.com