shauq kī kam-nigahī bhī hai gavārā mujh ko
ġham to ġham aaj ḳhushī bhī hai gavārā mujh ko
justujū saath hai sham-e-rah-e-manzil ban kar
apnī be-rāh-ravī bhī hai gavārā mujh ko
lazzat-e-zīst ba-har-taur sabhī ko hai aziiz
zahr-e-mīnā-e-ḳhudī bhī hai gavārā mujh ko
sozan-e-rahm-o-karam kartī hai kyuuñ sa.ī-e-rafū
chāk-dāmān-e-tahī bhī hai gavārā mujh ko
aap lillāh na farmā.eñ ziyāda zahmat
ab tavajjoh kī kamī bhī hai gavārā mujh ko
sirf tar-dāmanī-e-dil hī pe isrār nahīñ
chashm-e-pur-nam kī kamī bhī hai gavārā mujh ko
jur.at-e-arz-e-tamannā se huuñ bad-zan 'yāqūb'
zabt kī kam-suḳhanī bhī hai gavārā mujh ko