chāhtī hai āḳhir kyā āgahī ḳhudā-ma.alūm
kitne rañg badlegī zindagī ḳhudā-ma.alūm
kal to ḳhair ai rahbar tere saath rahrav the
aaj kis pe hañstī hai gumrahī ḳhudā-ma.alūm
ab bhī sub.h hotī hai ab bhī din nikaltā hai
jā chhipī kahāñ lekin raushnī ḳhudā-ma.alūm
rāstī gurezāñ hai āshtī hirāsāñ hai
kis se kis se uljhegā aadmī ḳhudā-ma.alūm
ab to vaqt aayā hai Duub kar ubharne kā
kitnī kashtiyāñ Dūbīñ aur abhī ḳhudā-ma.alūm
zauq-e-naġhma-e-pairā.ī tū hī baḌh ke de āvāz
kab se ġharq-e-hairat hai ḳhāmushī ḳhudā-ma.alūm
sirf bhiik māñgī thī ham ne ādamiyat kī
kyuuñ biphar ga.e 'yāqūb' mudda.ī ḳhudā-ma.alūm