Yaqoob Usmani

zaban kuchh aur kahti hai nazar kuchh aur kahti hai

Yaqoob Usmani

zabāñ kuchh aur kahtī hai nazar kuchh aur kahtī hai
ba-zāhir ye tavajjoh chāra-gar kuchh aur kahtī hai
zamāna naġhma-pairā.ī kā jab aa.egā aa.egā
abhī to shiddat-e-soz-e-jigar kuchh aur kahtī hai
bhalā aap aur iḳhfā-e-haqīqat ai ma.āz-allāh
zabān-e-ḳhalq jhūTī hai agar kuchh aur kahtī hai
koī kis tarah dhokā khaa.e is ātish-bayānī kā
udāsī terī ai sham-e-sahar kuchh aur kahtī hai
isī tashḳhīs par itrā rahā thā ek muddat se
masīhā dekh nabz-e-bahr-o-bar kuchh aur kahtī hai
tirī azmat kā munkir thā na huuñ ai rahbar-e-kāmil
ab is ko kyā karūñ maiñ rahguzar kuchh aur kahtī hai
bharam 'yāqūb' khulne hī ko hai ab āsmānoñ kā
zamīñ se gardish-e-shams-o-qamar kuchh aur kahtī hai
Top Urdushayar.com