ḳhush-fahmiyoñ ko ġhaur kā yaarā nahīñ rahā
tūfāñ kī zad se duur kinārā nahīñ rahā
baḌh baḌh ke DhūñDhte haiñ panāheñ na.ī na.ī
fitnoñ ko tīrgī kā sahārā nahīñ rahā
biitā bayāñ bahā-e-tamannā baḌhā ga.iiñ
naqd-e-sukūñ gañvā ke ḳhasārā nahīñ rahā
baaqī thā jis ke dam se bharam ehtiyāj kā
himmat ko vo karam bhī gavārā nahīñ rahā
nāzāñ hai apnī fat.h pe is tarah maut aaj
jaise koī hayāt kā maarā nahīñ rahā
ḳhurshīd inqalāb kā ā.īna ho to ho
mizhgāñ se gir ke ashk sitārā nahīñ rahā
'yāqūb' lamhe lamhe se zāhir hai be-ruḳhī
sāhil-navāz vaqt kā dhārā nahīñ rahā