maiñ chāhūñ bhī to zabt-e-guftugū maiñ lā nahīñ saktā
samajhne par bhī dil kā mudda.ā samjhā nahīñ saktā
bhalā aisī tahī-dāmāñ tamannāoñ se kyā hāsil
bahalne par dil āmāda hai aur bahlā nahīñ saktā
ḳhudā mahfūz rakkhe ḳhauf-e-āseb-e-asīrī se
maiñ gulshan meñ bhī āzādī kā naġhma gā nahīñ saktā
rag-e-gul se bhī nāzuk-tar haiñ tinke āshiyāne ke
inheñ gulchīñ har andāz-e-navāzish bhā nahīñ saktā
bharā jā.egā kab tak ḳhūn-e-māzī nabz-e-fardā meñ
ab is pahlū pe nazm-e-qalb-e-getī aa nahīñ saktā
kise fitna samajh kar apnī mahfil se uThātā hai
zamīr-e-amn is dhoke meñ nādāñ aa nahīñ saktā
sahāb-e-fikr bhī 'yāqūb' pāband-e-fazā niklā
chaman kī ḳhaak par rañg-e-suḳhan barsā nahīñ saktā