Yaqoob Usmani

tazad achchha nahin tarz-e-bayan ka hum zabanon mein

Yaqoob Usmani

tazād achchhā nahīñ tarz-e-bayāñ kā ham zabānoñ meñ
haqīqat ko chhupātā jā rahā huuñ dāstānoñ meñ
sabhī to aaj bargashta haiñ azmat-soz pastī se
machā rakkhī hai ik halchal zamīñ ne āsmānoñ meñ
samajhtā huuñ maiñ be-mafhum sī āvāz shikve ko
musībat ḳhud madad kartī hai aa kar imtihānoñ meñ
mirā ā.īna-e-ehsās hairāñ ho nahīñ saktā
yaqīñ kā nuur paidā kar hī letā hai gumānoñ meñ
banā rakhā hai bad-tar az qafas ḳhauf-e-asīrī ne
sivā tinkoñ ke ab kyā rah gayā hai āshiyānoñ meñ
nayā ik ma.abad-e-ummīd bhī ta.amīr karnā hai
anādil mo.atakif kab tak raheñgī gulistānoñ meñ
mirī nairañgiyāñ chhāne lagī haiñ rañg-e-mahfil par
bahut kuchh farq 'yāqūb' aa chalā hai dāstānoñ meñ
Top Urdushayar.com