Yaqoob Usmani

hal hi na ho jis ka wo muamma to nahin hai

Yaqoob Usmani

hal hī na ho jis kā vo muammā to nahīñ hai
maktūb-e-azal harf-e-tamannā to nahīñ hai
dil hī kī ḳhudā.ī hai yahāñ aaj bhī ai dost
pāband-e-nazar kaif kī duniyā to nahīñ hai
be-bahra-e-irfān-e-mohabbat hai azal se
sochā hai tujhe aql ne dekhā to nahīñ hai
andoh ba-dāmāñ na ho ḳhud mauj-tarannum
āvāz kā har sho.abada naġhmā to nahīñ hai
har raah nazar aane lage mujh ko rah-e-rāst
be-rāh-ravī terā ye manshā to nahīñ hai
ġham kyā agar āzād-e-musalsal hai mirī ziist
minnat-kash-e-ejāz-e-masīhā to nahīñ hai
'yāqūb' sunānā hai mujhe dil kī zabāñ meñ
afsāne kā pahlū koī tishnā to nahīñ hai
Top Urdushayar.com