Siraj Aurangabadi

suno to KHub hai Tuk kan dhar mera suKHan pyare

Siraj Aurangabadi

Aurangabad, Aurangabad, Maharashtra, India

1712-1763
suno to ḳhuub hai Tuk kaan dhar merā suḳhan pyāre
ki āshiq par na honā is qadar bhī dil kaThan pyāre
kidhar ho be-ḳhabar ho kyā magar ahvāl siiñ mere
udhar dekho ai zālim lā-ubālī man-haran pyāre
na kar āzurda-ḳhātir bulbul-e-betāb kuuñ hargiz
ġhanīmat buujh do din kī bahār ai man-haran pyāre
phañsā hai mujh sarī kā said aa kar daam meñ tere
kiyā tū ne magar kuchh sehr ai jaadū nayan pyāre
taġhāful mat karo ai nau-bahār-e-gulshan-e-ḳhūbī
tumhāre bin nipaT be-āb hai dil kā chaman pyāre
mire dil kī kalī murjhā rahī hai sarsar-e-ġham señ
karo Tuk muskurā kar baat ai shīrīñ-dahan pyāre
'sirāj' ab sho.ala-e-ulfat meñ jiyūñ parvāna jaltā hai
na jānūñ tujh satī is kuuñ lagī hai kyā lagan pyāre
Top Urdushayar.com