Yaqoob Usmani

wo kaun se KHatre hain jo gulshan mein nahin hain

Yaqoob Usmani

vo kaun se ḳhatre haiñ jo gulshan meñ nahīñ haiñ
ham maut ke muñh meñ haiñ nasheman meñ nahīñ haiñ
ye jashn-e-tarab aur ye be-rañgī-e-mahfil
do phuul bhī kyā vaqt ke dāman meñ nahīñ haiñ
chhup chhup ke kise barq-e-havas DhūñDh rahī hai
gintī ke vo ḳhoshe bhī to ḳhirman meñ nahīñ haiñ
imroz ke dikhte hue dil kī maiñ sadā huuñ
dīroz ke nauhe mire shevan meñ nahīñ haiñ
chāk-e-jigar ai dast-e-karam sī to rahā hai
girheñ to kahīñ rishta-e-sozan meñ nahīñ haiñ
majbūr ab itnā bhī asīroñ ko na samjho
aise bhī haiñ kuchh tauq jo gardan meñ nahīñ haiñ
rañg-e-nigah-e-shauq bhare kaun chaman meñ
tinke bhī to 'yāqūb' nasheman meñ nahīñ haiñ
Top Urdushayar.com