sabr ḳhud uktā gayā achchhā huā
kuchh to bojh ehsās kā halkā huā
vo ġhurūr-e-hosh-mandī kyā huā
jo qadam paḌtā hai vo bahkā huā
chheḌ baiThā vaqt apnī rāgnī
saaz par jab aap kā qabza huā
tak rahā hai ḳhud unhī kī anjuman
fitna fitna un kā chauñkāyā huā
ruup badlā hai sahar kā raat ne
dekhne vaalo tumheñ dhokā huā
kar rahe ho kis se tum zikr-e-chaman
ġhuncha ġhuncha hai mirā dekhā huā
aap kaj-rau haiñ ki sab kaj-fahm haiñ
hal baḌī mushkil se ye uqda huā
maslahat 'yāqūb' kyuuñ hai dam-ba-ḳhud
raaz kis kī bazm kā ifshā huā