jahāñ kuchh log dīvāne bane haiñ
baḌe dilchasp afsāne bane haiñ
haqīqat kuchh to hotī hai yaqīnan
kahīñ jhūTe bhī afsāne bane haiñ
bahut nāzāñ the jo farzāngī par
unheñ dekhā to dīvāne bane haiñ
ki andāz-e-nazar kī āzarī se
diloñ meñ kitne but-ḳhāne bane haiñ
jo sho.ala sham.a ke dil meñ hai raushan
usī sho.ale se parvāne bane haiñ
ye kis saaqī kā faizān-e-nazar hai
chaman meñ phuul paimāne bane haiñ
qayāmat thā mirā mahfil se uThnā
na jaane kitne afsāne bane haiñ
mirī dīvāngī par hañsne vaale
ba-zom-e-ḳhvesh farzāne bane haiñ
jalī haiñ zehn meñ yādoñ kī sham.eñ
tasavvur meñ sanam-ḳhāne bane haiñ
ba-nām-e-ġham ba-unvān-e-mohabbat
junūñ-afroz afsāne bane haiñ
zamāne se ho 'yazdānī' gila kyā
ki jo apne the begāne bane haiñ