Yazdani Jalandhari

suraj ke sath sath ubhaare gae hain hum

Yazdani Jalandhari

Jalandhar, Punjab, India

1915-1990
sūraj ke saath saath ubhāre ga.e haiñ ham
tārīkiyoñ meñ phir bhī utāre ga.e haiñ ham
raas aa sakī na ham ko havā tere shahr kī
yuuñ to qadam qadam pe sañvāre ga.e haiñ ham
kuchh qahqahoñ ke abr-e-ravāñ ne diyā nikhār
kuchh ġham kī dhuup se bhī nikhāre ga.e haiñ ham
sāhil se rābta haiñ nahīñ TūTtā kabhī
kaise samundaroñ meñ utāre ga.e haiñ ham
TuuTā na rāh-e-shauq meñ afsūn-e-tīrgī
le kar jilau meñ chāñd sitāre ga.e haiñ ham
jaanā muhāl thā tirī mahfil ko chhoḌ kar
pā kar tirī nazar ke ishāre ga.e haiñ ham
is tiira ḳhāk-dāñ meñ koī pūchhtā nahīñ
kahne ko āsmāñ se utāre ga.e haiñ ham
sau baar bār-e-ġham ne pareshāñ kiyā hameñ
sau baar misl-e-zulf sañvāre ga.e haiñ ham
is silsile meñ maut to badnām hai yūñhī
is zindagī ke hāthoñ hī maare ga.e haiñ ham
gardāb-e-ġham meñ Duub ke ubhre haiñ bārhā
kis ne kahā kināre kināre ga.e haiñ ham
'yazdānī'-e-hazīñ hameñ kuchh bhī ḳhabar nahīñ
us āstāñ pe kis ke sahāre ga.e haiñ ham
Top Urdushayar.com