milā hai taptā sahrā dekhne ko
chale the ghar se dariyā dekhne ko
chalo apnā hī manzar aap dekheñ
kahāñ jaa.eñ tamāshā dekhne ko
sar-e-maqtal kise laayā gayā hai
chalī aatī hai duniyā dekhne ko
fasurda phuul uḌte zard patte
chaman meñ rah gayā kyā dekhne ko
milī hai muḳhtasar sī fursat-e-dīd
tamāsha-gāh-e-duniyā dekhne ko
charāġh-e-rahguzar jugnū sitārā
kiran koī to rastā dekhne ko
phire haiñ anjuman-dar-anjuman ham
use jalva-ba-jalva dekhne ko