Yazdani Jalandhari

nigah-e-naz ka hasil hai etibar mujhe

Yazdani Jalandhari

Jalandhar, Punjab, India

1915-1990
nigāh-e-nāz kā hāsil hai e'tibār mujhe
havā-e-shauq zarā aur bhī nikhār mujhe
kabhī zabāñ na khulī arz-e-mudda.ā ke liye
kiyā hai pās-e-adab ne bhī sharmsār mujhe
purāne zaḳhm na.e daaġh saath saath rahe
milī to kaisī milī da.avat-e-bahār mujhe
phir ahl-e-hosh ke narġhe meñ aa gayā huuñ maiñ
ḳhudā ke vāste ik baar phir pukār mujhe
bikhar rahī hai mohabbat kī raushnī har sū
uḌā rahā hai koī sūrat-e-ġhubār mujhe
na jaane kaun sā hai sho.abada ta.āqub meñ
ki aaj us ne kahā hai vafā shi.ār mujhe
jo aap aa.eñ to ye faisla bhī ho jaa.e
dikhā.ī detā hai mausam to ḳhush-gavār mujhe
hazār baar sukūn-e-hayāt kī had meñ
hazār baar kiyā dil ne be-qarār mujhe
mire shabāb mirī zindagī mire maazī
zabān-e-hāl se ik baar phir pukār mujhe
vo baat jis pe madār-e-vafā hai 'yazdānī'
vo baat kahnā paḌegī huzūr-e-yār mujhe
Top Urdushayar.com