ik ḳhushī ke liye haiñ kitne ġham
mubtalā-e-sad-ārzū haiñ ham
dil bhī lauh-o-qalam kā ham-sar hai
dāstāneñ haiñ kitnī dil pe raqam
azmat-e-raftagāñ hai nazroñ meñ
apne maazī ko DhūñDte haiñ ham
paara paara hai ḳhud junūñ lekin
fikr-e-insāñ isī se hai mohkam
bhīgī bhīgī hai har kiran un kī
hai sitāroñ kī aañkh bhī pur-nam
yuuñ na hotī sahar kī rusvā.ī
kaash khultā na raushnī kā bharam
ham haiñ aur ehtirām-e-husn-e-vafā
vo haiñ aur ehtimām-e-mashq-e-sitam
kamtar us ko na kahiye 'yazdānī'
aadmī ḳhud hai jān-e-do-ālam