Siraj Aurangabadi

har har waraq pe kyun ki likhun dastan-e-hijr

Siraj Aurangabadi

Aurangabad, Aurangabad, Maharashtra, India

1712-1763
har har varaq pe kyuuñ ki likhūñ dāstān-e-hijr
aatā nahīñ zabān-e-qalam par bayān-e-hijr
zāhir agarche tāza-o-tar misl-e-lāla huuñ
mujh dil meñ jānashīn hai dāġh-e-nihān-e-hijr
pazhmurda kyuuñ na ho.e gul-e-ummīd-e-āshiqāñ
bahtī hai dil ke baaġh meñ bād-e-ḳhizān-e-hijr
āb-e-hayāt vasl siiñ de umr-e-jāvedāñ
hai be-qarār ġham siiñ tire nīm-jān-e-hijr
vo āshiqī kī misl meñ manzūr hai mudām
chille maiñ ġham ke baiTh jo khīñchā kamān-e-hijr
niiñ sair-e-lāla-zār kī āshiq kuuñ aarzū
az-bas hai dāġh-e-sīna gul-e-bostān-e-hijr
jaarī ba-rāh-e-chashm satī ḳhūn-e-dil 'sirāj'
jab siiñ mire jigar meñ lagī hai sinān-e-hijr
Top Urdushayar.com