Yazdani Jalandhari

jada-e-zist pe barpa hai tamasha kaisa

Yazdani Jalandhari

Jalandhar, Punjab, India

1915-1990
jāda-e-zīst pe barpā hai tamāshā kaisā
dost bichhḌā hai har ik gaam pe kaisā kaisā
dil kā ātish-kada vīrān paḌā thā kab se
aañkh se bahne lagā aag kā dariyā kaisā
us pe to fasl-e-ḳhizāñ maar chukī hai shab-ḳhūñ
mausam-e-gul ke guzar jaane kā khaTkā kaisā
chāñd se chehre nazar aane lage haiñ kitne
khul gayā merī nigāhoñ pe darīcha kaisā
jis meñ ik ashk na ho aañkh kahāñ hai vo aañkh
buuñd paanī kī na ho jis meñ vo dariyā kaisā
be-tahāshā jo baḌhī jaatī hai sū-e-girdāb
naav ne dekh liyā us meñ kinārā kaisā
dekh mahfil meñ har ik aañkh hai nam 'yazdānī'
tū ne ye chheḌ diyā aaj fasāna kaisā
Top Urdushayar.com